tu bhi kuchh pareshan hai tu bhi sochti hogi tere nam ki shohrat tere kaam kya aai main bhi kuchh pasheman hun main bhi ghaur karta hun mere kaam ki azmat mere kaam kya aai tere khwab bhi sune mere khwab bhi sune teri meri shohrat se tere mere gham dune tu bhi ek sulagta ban main bhi ek sulagta ban teri qabr tera fan meri qabr mera fan ab tujhe main kya dunga ab mujhe tu kya dega teri meri ghaflat ko zindagi saza degi tu bhi kuchh pareshan hai tu bhi sochti hogi tere nam ki shohrat tere kaam kya aai main bhi kuchh pasheman hun main bhi ghaur karta hun mere kaam ki azmat mere kaam kya aai