khwab ki baalkani baalkani par ye sarakti hui parchhain meri samne baalkani ke niche barf mein lithda hua raushni rota hua balb abhi zinda hai ek ehsas-e-ziyan baqi hai raat ke zina-e-pechan se utarne lagi tanhai meri is ke katbe pe tabahi ka ye taza bosa sirf bose ka nishan baqi hai nim-jaan daera-e-nauha-giran baqi hai ruh ke tar khinche hain jin par waqt wamanda parinde ki tarah lam te kaf alif hua chikhta hai maut atraf-o-jawanib mein kisi wahshi darinde ki tarah phirti hai jism ke chaaron taraf dard ki tarik fasil zat ke habs mein kumhla gai aawaz meri gham ke yalghaar se dil band hua qalb-e-paiwandi-e-gham to hogi shahr mein koi dhadakta hua dil dil ki koi taza qalam to hogi