kuchh tum ne kaha kuchh main ne kaha aur badhte badhte baat badhi dil ub gaya dil dub gaya aur gahri kali raat badhi tum apne ghar main apne ghar sare darwaze band kiye baithe hain kadwe ghunt piye odhe hain ghusse ki chadar kuchh tum socho kuchh main sochun kyun unchi hain ye diwaren kab tak hum in par sar maren kab tak ye andhere rahne hain kina ke ye ghere rahne hain chalo apne darwaze kholen aur ghar ke bahar aaen hum dil thahre jahan hain barson se wo ek nukkad hai nafrat ka kab tak is nukkad par thahren ab is ke aage jaen hum bas thodi dur ek dariya hai jahan ek ujala bahta hai wan lahron lahron hain kirnen aur kirnon kirnon hain lahren in kirnon mein in lahron mein hum dil ko khub nahane den sinon mein jo ek patthar hai us patthar ko ghul jaane den dil ke ek kone mein bhi chhupi gar thodi si bhi nafrat hai is nafrat ko dhul jaane den donon ki taraf se jis din bhi izhaar nadamat ka hoga tab jashn mohabbat ka hoga