ek safar ki shuruat ho sakti hai tum agar han kaho tum agar han kaho shah-rahon mein galiyon mein bhatkenge hum koi manzil na ho na ho zad-e-safar koi manzil na ho na ho zad-e-safar ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar aur bunne mein tum ko mahaarat to hai khwab bunte chalenge dagar se dagar tum agar han kaho tum agar han kaho ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar talkhiyan zindagi ki bikhar jaengi aur parchhaiyan bhi nazar aaengi gham simat jaega raat kadwe halahil mein ghul jaegi tum agar han kaho tum agar han kaho ham-safar ham-safar ham-safar ham-safar