kinare jhil ke phirta hai jugnu kabhi udta kabhi girta hai jugnu hawa ki god mein ek raushni hai ki nannhi shama koi ud rahi hai sitara sa chamakta hai faza mein sharara udta phirta hai hawa mein koi mahtab si chhoti hai goya sitare ki kiran tuti hai goya andhere mein sunahri titari hai ki sone ki koi nannhi pari hai hari shakhon pe jugnu chha gae hain zamin par ya sitare aa gae hain munawwar sare bagh aur ban hain in se andheri daliyan raushan hain in se nahin aaram se sote magar ye ki udte phirte hain yun raat bhar ye