barq-pa lamhon ki ek zanjir mein jakda hua wo shikasta-pa unhi raston se guzra aur nadida khudaon ka hujum khanda-zan aankhon se us ki na-rasai ka tamasha dekh kar kahta raha tu ne chaha tha magar tere muqaddar mein na tha jaise us ki bebasi mein wo kabhi shamil na the wo kahan gum ho gaya koi naqsh-e-pa nahin jis ki zaban ek harf-e-na-shunida hi kahe aur main din-raat ke sahra mein us ko dhundh kar pane ki koi aarzu le chalun raston par koi naqsh-e-pa nahin koi nishan baqi nahin naqsh gar lamhon ki har tahrir dast-e-be-nishan ke lams qatil ka fasana ban gai shahr ke logon tumhaare rauzan-e-chaak-e-jigar bhi band hain tum mein har ek ne kisi khisht-e-tamanna sang-e-nafrat se ye chashm-e-rauzan-e-dil band kar ke aakhiri ummid ka suraj bujha kar rakh diya aur ab lazzat ki duniya mein gum sud-o-sauda ki asiri par raza-mand ka tauq-e-be-nishan pahne hue khush ho ki jannat mil gai main akela tang rahon sang-dil sadkon pe us ko dhundne kaise chalun koi naqsh-e-pa nahin milta mujhe aur sara shahr ye goya darakhton ka bhara jangal faqat shor-e-abas ka silsila hai koi harf-e-na-shunida se nahin waqif yahan lahza lahz tira-tar hoti hui ye sham bhi raat ke qulzum mein gir kar be-nishan ho jaegi aur ek mauj-e-fana is raat se tarik-tar is bhare jangal chamakte shahr par chha jaegi ek main hun rahat khwab-e-shabina meri qismat mein nahin dopahar ki dhup shab ki tirgi mera muqaddar ban gai raat ko phir sai-e-la-hasil ka zakhm la-dawa un siyah-raston pe us ki justuju karne mujhe le aaega unghi sadkon pe apni chap sun kar phir mere dil ka wahi zakhm-e-kuhan sad-zaban ho jaega kaun meri dastan sun le ki main us ko pane ki tamanna ke tufail is bhare jangal mein tanha hun koi bhi raaz-dan mera nahin dopahar ki dhup mein us ne kyun yun muzmahil nazron se dekha tha mujhe us ki aankhon mein sisakti ruh kyun mere liye chaak-e-jigar ban kar rahi kash ye chaak-e-jigar chaak-e-gareban ban sake taki meri sai-e-la-hasil ka zakhm la-dawa lazzat aawargi ka tana-e-qatil na bin jae kahin shahr wale khush hain chashm-e-rauzan-e-dil ab kisi khisht-e-tamanna tuda-e-ummid sang-e-arzu se band hai ek main hun mera chaak-e-dil kisi sozan se silta hi nahin ye kisi sang-e-tamanna tuda-e-ummid se bharta nahin aur jis ki justuju mein raat-din barg-e-awara bana phirta hun main us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin us ka naqsh-e-pa kahin milta nahin