kitni zau-pash umidon ke sahaare chhote chand ek mast sharabi ki tarah warafta kohar ki dhund mein chalta raha girta padta dasht-e-tanhai mein uthte rahe khush-rang sarab rang ki lahron pe khilte rahe nasrin-o-gulab sarw ke sae mein uljhe hue anfas ke rag mazi-o-haal ke sangam pe chalate rahe aag pahle ek aag lagi aag phir ek yaad bani yaad ashkon mein naha kar tere paikar mein dhali marmarin paikar-e-andaz ba-khwab-aluda jaise khayyam ki takhil sharab-aluda yak-ba-yak arsh se phir koi sitara tuta dil laraz uttha ki ek aur sahaara tuta teri zulfon ki tarah dhal ke kamar tak pahunchi raat bal khati hui baam-e-sahar tak pahunchi