tazin ka khayal agar aae zehn mein qaid-e-maqam ka na tasawwur rahe rawa jazbaat qalb mein jo mohabbat ke jag uthen inam un ka sare zamane ko ho ata ek gosha-e-jahan ka sanwarna bhi khub hai lekin hai khub-tar ki sanwar jae kaenat apne watan se pyar badi baat hai magar sab ke watan se pyar hai afzal tarin baat