khayaban-e-sadi mein rusi kitabon ki dukkan par hum khade the mujhe rus ke chida sanat-garon ke nae karnamon ki ek umar se tishnagi thi! mujhe rusiyon ke siyasi hama-usat se koi raghbat nahin hai magar zarre zarre mein insan ke jauhar ki tabindagi dekhne ki tamanna hamesha rahi hai! aur us sham to mursida ki urusi thi us shokh diwani ladki ki khatir mujhe ek nazuk si saughat ki justuju thi wo mera naya dost khalid zara dur takhte ke pichhe khadi ek tanau-mand lekin fusun-kar qufqaz ki rahne wali hasina se shir-o-shakar tha! ye bhuka musafir jo daste ke sath ek kheme main ek dur-uftada sahra mein muddat se uzlat-guzin tha badi iltijaon se is hur-e-qufqaz se kah raha tha: na-jaane kahan se mila hai tumhaari zaban ko ye shahad aur lahje ko masti! main kaise bataun main kis darja dil-dada hun rusiyon ka mujhe ishtiraki tamaddun se kitni mohabbat hai kaise bataun! ye mumkin hai tum mujh ko rusi sikha do? ki rusi adibon ki sar-chashma-gahon ko main dekhna chahta hun wo parwarda-e-ashwa-bazi kanakhiyon se yun dekhti thi ki jaise wo un sar-nigun aarzuon ko pahchanti ho jo karti hain akasr yunhi ru-shanasi kabhi dosti ki tamanna kabhi ilm ki pyas ban kar! wo kulhe hilati thi hansti thi ek sochi samjhi hisabi lagawat se jaise wo un khufiya sar-chashma-gahon ke har raaz ko jaanti ho wo takhte ke pichhe khadi qahqahe marti lautti thi kaha main ne khalid se: bahrupiye! is wilayat mein zarb-e-masal hai ki unton ki sauda-gari ki lagan ho to ghar un ke qabil banao aur is shahr mein yun to ustaniyan an-ginat hain magar is ki ujrat bhala tum kahan de sakoge! wo phir muztarib ho ke be-ikhtiyari se hansne lagi thi! wo boli ye sach hai ki ujrat to ek shahi bhar kam na hogi magar faujiyon ka bharosa hi kya hai bhala tum kahan baz aaoge aakhir zaban sikhne ke bahane khayanat karoge wo hansti hui ek nae mushtari ki taraf multafit ho gai thi! to khalid ne dekha ki ruman to khak mein mil chuka hai use khinch kar jab main bazar mein la raha tha lagatar karne laga wo maqulon mein baaten zaban sikhni ho to aurat se sikho! jahan bhar mein rusi adab ka nahin koi sani wo qufqaz ki hur mazdur aurat! jo duniya ke mazdur sab ek ho jaen aaghaz ho ek naya daura-e-shadmani mere doston mein bahut ishtiraki hain jo har mohabbat mein mayus ho kar yunhi ek nae daura-e-shadmani ki hasrat mein karte hain dil-jui ek dusre ki aur ab aisi baaton pe main zer-e-lab bhi kabhi muskuraata nahin hun aur us sham jashn-e-urusi mein husn o mai o raqs o naghma ke tufan bahte rahe the farangi sharaben to anqa thin lekin mai-e-nab-e-qazwin o khullar-e-shiraaz ke daur-e-paiham se rangin libason se khushbu ki be-bak lahron se be-sakhta qahqahon hamhamon se mazamir ke zer-o-bam se wo hangama barpa tha mahsus hota tha tehran ki aakhiri shab yahi hai! aachanak kaha mursida ne: tumhaara wo sathi kahan hai? abhi ek sofe pe dekha tha main ne use sar-ba-zanu! to hum kuchh pareshan se ho gae aur kamra-ba-kamra use dhundne mil ke nikle! lo ek gosha-e-nim-raushan mein wo ishtiraki zamin par pada tha use hum bulaya kiye aur jhinjhoda kiye wo to sakit tha jamid tha! rusi adibon ki sar-chashma-gahon ki us ko khabar ho gai thi