sard maidanon pe shabnam sakht sukdi sha-rahon munjamid galiyon pe jala nind ka masruf logon be-irada ghumte aawara ka hujum be-dimagh ab tham gaya hai randiyon zankhon uchakkon jeb katron lutiyon ki fauj istimal karda jism ke manind dhili pad gai hai sansanati raushni hawaon ki phisalti god mein chup unghti hai farsh aur diwar o dar fut path khambe dhundli mehraben dukanon ke siyah viran-zine sab ke nange jism mein shab nam hawa ki suiyan be-khauf utarti kudti dhumen machati hain kuchh shikasta takhton ke pichhe kai masum jaanen hain khwab kam-khwabi mein larzan baal o par mein sard-nishtar bans ki halki akahri be-hifazat tokari mein darjanon majbur tair zer-e-par minqar munh dhanpe khamoshi ke samundar-e-be-nishan mein gharq bazu-basta chup makhluq khuda jo gol kali gahri aankhon ke na jaane kaun se manzar mein gum hai