tahzib ka rahbar hai ye punjab hamara har ilm ka masdar hai ye punjab hamara har fan mein muaqqar hai ye punjab hamara irfan se munawwar hai ye punjab hamara jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara sahir bhi fusun-kar bhi hain is ki bahaaren sarmast bhi sarshaar bhi hain is ki bahaaren dilkash bhi tarah-dar bhi hain is ki bahaaren gul-rang bhi gul-bar bhi hain is ki bahaaren jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara ye khuld-faza khuld-numa is ke manazir ye mah-e-ziya mehr-laqa is ke manazir ye kaif-e-ada ruh-faza is ke manazir har samt ye andoh-ruba is ke manazir jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara mai-bar bhi mai-nosh bhi hain is ki ghataen jam-e-mai-e-sar-josh bhi hain is ki ghataen mai-khana-ba-aghosh bhi hain is ki ghataen ghaarat-gar-e-sad-hosh bhi hain is ki ghataen jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara rishiyon ne yahan gae hain ulfat ke tarane guruon ne sunae hain haqiqat ke fasane bhagton ne yahan pae hain qudrat ke khazane logon ne banae hain masarrat ke thikane jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara punjab ko hum rausahn-o-pur-nur karenge punjab ko hum amn se mamur karenge punjab ko har haal mein masrur karenge punjab ko hum aur bhi mashhur karenge jannat se bhi bartar hai ye punjab hamara