KHuda se

tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale
ye kar-gah-e-hasti bazar-e-auj-o-pasti

le dekh ho rahi hai bechainiyon ki basti
tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale

2
phulon ke chaak daman ghunchon mein soz-e-pinhan

gulshan bahaar mein bhi be-kaif-o-dard-saman
soz-e-darun nahin hai josh-e-junun nahin hai

dil hi se aashiqi thi dil hi mein khun nahin hai
paimane uth gae hain maikhane uth gae hain

viraniyan salamat diwane uth gae hain
tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale

3
mamur-e-gham hai duniya dar-e-alam hai duniya

dam-e-tawanagri mein said-e-sitam hai duniya
aare se chal rahe hain naqshe badal rahe hain

insan ka khun pi kar insan pal rahe hain
mafqud khurrami hai har bazm matami hai

is gham-kade ki har shai goya jahannami hai
tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale

4
ai kar-saz-e-alam ai be-niyaz-e-alam

mamur-e-soz-e-gham hai kab se ye saz-e-alam
mayus ho chuke hain himmat hi kho chuke hain

insan bhalaiyon ki qismat ko ro chuke hain
barbaad ho rahe hain nashad ho rahe hain

bande tere sarapa fariyaad ho rahe hain
tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale

5
haiwan bhi nahin hain insan bhi nahin hain

insan-numa darinde shaitan bhi nahin hain
ye zohd ki dukanen ye masiyat ki kanen

ye waizon ke munh mein chalti hui zabanen
firaun ho rahe hain malun ho rahe hain

mazhab-farosh mulla qarun ho rahe hain
tujh ko bhi kuchh khabar hai duniya banane wale

6
ai be-niyaz-e-hasti ai kar-saz-e-hasti

kab tak rahega yunhi poshida raaz-e-hasti
koi nahin hamara koi nahin sahaara

kis samt bah rahi hai ye zindagi ki dhaara
fikr-e-dawa nahin hai zikr-e-dua nahin hai

dil kah raha hai ab to koi khuda nahin hai
tujh ko bhi kuchh khabar hai tujh ko bhi kuchh khabar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close