hamari kitab

jo bhi kitaben main ne padhi hain
ek zaban ho kar boli hain

hum sab achchhe dost tumhaare
hum sab sachche dost tumhaare

qisse kahani tumhein sunate
baaten karte dil bahlate

duniya bhar ki sair karaate
ghar baithe hum tumhein ghumate

bade badon se tumhein milate
un ki baaten tumhein sunate

aasman ki sair karaate
chanda mama se milwate

kabhi hawa mein tumhein udate
kabhi zamin ki sair karaate

lal-o-guhar lafzon mein chhupe hain
hire jawahar bikhre pade hain

ahl-e-qalam ne jo likkha hai
ek ek jumla besh-baha hai

shauq se mujh ko jo padhte hain
darjon mein achchhe ladke hain

mujh se mohabbat karte hain jo
jagte sote padhte hain jo

ilm se mala-mal wahi hain
'ghaalib' aur 'iqbaal' wahi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close