urdu kaho ya hindostani is ki badai duniya ne mani aapas ki millat maqsud is ka ulfat ki khugar wahdat ki bani guzre huon ke dil ki dulari bite dinon ki dilkash kahani hai ittihad-e-qaumi ka naghma aaghaz is ka us ki jawani ahl-e-watan the aapas mein yak dil is baat ki hai urdu nishani hone ko hain go sadha zabanen par is ke aage bharti hain pani uttar se dakshin purab se pachchhim har samt is ki hai hukmarani hindu bhi shaida muslim bhi shaida hai sari khilqat is par diwani hon kyun na is ke sab log hami hai ye sarasar hindostani milti hai khul kar har ek zaban se is baat mein hai kaun is ka sani tarz-e-nigarish gar dekh paen rah jaen hairan bahzad-o-mani is ki fasahat is ki balaghat is ki salasat is ki rawani rangin qisse nowel anokhe dilchasp nazmen shirin-zabani jadu-nigari shewa-bayani sanat-taraazi gauhar-fishani har bol is ka misri sa mitha har baat dilkash har lai suhani meri dua hai ye muddaa hai is par khuda ki ho mehrbani 'nayyar' jahan mein phule-phale ye jab tak hai baqi duniya-e-fani