main zakhmi zakhmi lahu lahu har jangal har aabaadi mein kanton ke nukile raston par phulon ki ru-pahli wadi mein har shahr mein har virane mein koi to kharidar aaega maqtal ki sunahri chaukhat tak bismil ka taraf-dar aaega ek aas liye ummid liye daman mein mah-o-khurshid liye pathraw ki chaumukh barkha mein khwabon ko bachata phirta hun be-rahm haqiqat milti hai main aankh churaata phirta hun * aksar ye tamanna jagi hai goya main chahakta baalak hun titli ke rangin pankhon par lalchae hue ban ban ghumun har kunj mein khushbu pi pi kar ganjar mein bhaunron ki jhumun har bhure bhae har sanjh bhae chahkar mein chidiyon ki dolun fitrat sa sakhi to koi nahin nazron sa dhani to koi nahin ye ped ye parbat ye sagar dharti pe khilaune rakhe hain ye dariya parten chandi ki amrit ke done rakkhe hain main amrit pine rukta hun dariya ke tat par chhain phunkarti hai das jati hai khwabon se mujhe chaunkati hai aksar ye guman hota hai mujhe main ek chamakta jugnun hun shabnam ki nannhi bundon ko phulon ka ghar dikhlata hun main shab ke andhere sine mein neki ki kiran ban jata hun jab pau ki raushni aati hai phunkarti hai das jati hai khwabon se mujhe chaunkati hai * aksar ye guman hota hai mujhe but-saz hun main har patthar se derina-shanasai hai meri chalata hai koi andar se har sankh mein ek but-khana hai jis shai ko patthar kahte hain wo surat ka baiana hai har sang se phir but dhalte hain har but ko zaban mil jati hai main pahron un ki sunta hun khush hota hun sar dhunta hun duniya ko magar fursat hi kahan aawaz meri ghat jati hai khwabon se mujhe chaunkati hai * danaon ki is nagri mein ye bahki bahki kaun sune sar chikh ki phansi par ho jahan sar khamoshi par kaun dhune main kisi basti ka basi hun kya kahta hun kya sunta hun in giton ke khaliyanon se kyun moti moti chinta hun pathraw ki chaumukh barkha mein har moti tutta jata hai khwabon se mujhe chaunkata hai