hamdam

zindagi bojh sahi bojh ka ehsas na kar
manzilen dur sahi us ka taraddud be-kar

jab qadam azm se uthenge to rasta tai hai
aur phir rah mein kanton ke siwa

narmi-e-gul bhi to maujud hai sabza bhi hai
chalte chalte yunhi aadat bhi hui jati hai

thak gae hon to yahan chhanw bhi saya bhi hai
garmi-e-mahr satati hai magar yun bhi to hai

raushni tezi-e-raftar pe uksati hai
raat tarik hai sunsan hai dar lagta hai

raat ka rup faqat ye to nahin hai hamdam
raat mahtab ki kheti hai sitaron ka chaman

raat ke shahar mein khwabon ki fusun-kari hai
khwab jo koshish-e-paiham ko jaga dete hain

aur phir raat guzar jati hai
subh-e-khurshid ka chhalka hua paimana hai

rang aur kaif ki sarshaar mizaji ki qasam
manzilen sahal hui jati hain

us taraf dekh makanon ki jabinon se dhuan uthta hai
aur raushan hai bisat

aur makinon ke tabassum se fazaen mamur
ek lamhe ke liye

ruk ke khushiyon ko ikattha kar len
zad-e-rah in ko bana len apna

partaw-e-zist se zulmat mein ujala kar len
gham nahin qafile walon se bichhad jaane ka

hum nai rah nae naqsh-e-qadam chhodenge
karwan aur bhi guzrenge hamare pichhe

sham se pahle bahut dur pahunchna hai hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close