auron se alag duniya se juda yakta-e-zamana hun goya aap apni khudi ka mazhar hun naqqash-e-azal ka shah-para jis soch mein dubi rahti hun sab log use kya jaanen gham aur khushi ka paimana auron se hai yaksar begana kuchh rang mere mahbub-e-nazar kuchh sher mere taskin-e-jigar kuchh rag hain aise jo ruh ke barbat par bajte hain khwabon ke larazte sae hain jazbon ke dahakte angare in angaron ki hiddat se ehsas ka tabish milti hai ehsas ki tabish meri hai nakaam irade tute arman taqdir ke hathon nauha-kunan khwahish ke samundar tufani kashti ko duboe dete hain kashti ki tabahi meri hai is dard ka darman mera hai is zakhm ki shiddat meri hai sunsan andheri raaton mein tanhai ki mashal jalti hai subhon ki damakti peshani shahin-e-nazar ki manzil hai is raat ki wahshat meri hai is subh ki qurbat meri hai wijdan-e-khudi ke yaktare par har tarz nai har rag juda mujh sa is duniya mein koi bhi nahin hai mere siwa is soch ki lazzat meri hai