hamein khanon mein mat banto ki hum to raushni thahre kisi dahliz par jalte hue shab bhar kisi ka rasta takte charaghon se bhi aage hai jahan apna ujalon ki kumak le kar andhere ki safon ko chir jate hain ye jugnu chand aur tare hamari suraten jaise hamein khanon mein mat banto hawa hain hum bhala diwar-o-dar mein qaid kya honge sunahri subh dhalti sham ki rahat hamin se hai hamein mizan par rakhne se pahle tolne se qabl itna soch lena hai hamara bojh teri band mutthi mein dabi rassi uthaegi bhala kaise ki hum to shash-jihat mein jis taraf nazren uthao dekh lo phaili hui bikhri hui hum ko ki hum to zindagi hain