us lams ka koi nam to ho jo tujh ko soch ke jagta hai jo tere zikr ke aate hi rag rag mein daudne lagta hai kyun tere nam ko sunte hi meri sans mahakne lagti hai ehsas nashe mein hota hai har fikr bahakne lagti hai ek nadida ehsas meri poron mein ghulne lagta hai ek band daricha hasrat ka khwabon mein khulne lagta hai jab chand nikal kar baadal se aankhon mein sapna bota hai ek khwahish ki tanhai se bedar junun jab hota hai jab dasht-e-talab mein pyas meri aankhon ko nigalne lagti hai jab aas umid ki duniya mein ek sham si dhalne lagti hai jis waqt ghamon ki wahshat ka ek saya mujh par jhukta hai us waqt tera ehsas mere pahlu mein aa kar rukta hai aur us ehsas ke chhute hi main tabinda ho jati hun meri sansen chalne lagti hain phir se zinda ho jati hun