fazaen tilmila uthin jo main ne gunguna diya hayat rasmasa gai jo main ne muskura diya fana baqa ke darmiyan khinchi hui hai jo lakir hayat-o-maut ke sire pe nachte rahe hain hum idhar to ishq hai udas udhar hai husn muzmahil idhar piyala tishna-kaam udhar shabab be-qarar na hath main badha saka na tum utha sake qadam fazaen tilmila uthin nadi ki mauj mauj mein charagh se lapak uthe fana baqa ke darmiyan sitaron ki saheliyan sindur le ke thaal mein sanwarne ko aa gain urus-e-mah ke pech-o-kham na hath main badha saka na tum badha sake qadam sanwar chuka hai husn bhi bikhar rahi hai ghunchagi khade hue hain karwan fana baqa ke darmiyan khinchi hui lakir mil ke aao hum mita na den haden jo mustaqil si hain wo rah se hata na den banaen ek hayat-e-nau nashat-o-be-khudi mein hum phate phate se baadalon mein hans rahi hai chandni