hansti hui ladki ek aansu mein rahti hai is ek aansu mein jab wo chhup gai thi to use kisi ne nahin dhunda aur is ek aansu mein jab wo ghar gai thi to kisi ko nahin mil saki isi aansu mein se hath badha ke us ne phul tode the aur isi aansu mein se us ne wo kitab padhi thi jis mein aansuon se tode hue phul nahin rakhe ja sakte hansti hui ladki barish mein is ek aansu se bahar nahin ja sakti wo chalti hai aur hamesha thak ke baith jati hai apne kadhe hue rumal par wo sunti hai apni kahi hui kahani aur har bar rone lagti hai hansti hui ladki apni hatheli pe aansuon se ek qila bana leti hai aur ek aansu se ziyaada nahin roti