bahut din se kai an-dekhe ilzamat ke bais hawa matlub hai hum ko hawa tarik raaton mein hamare khwab le jati hai aur wapas nahin karti hamare khat churaati hai hamare dil ki baaten rah-giron ko sunati hai hamare git maidanon gali kuchon mein gati hai hum apne dil ke zang-alud khanon mein mohabbat jod ke rakhte hain lekin sham hote hi hawa ek narm jhonke se ye khane khol leti hai wahan jo kuchh hai le jati hai aur hum se ijazat tak nahin leti mohabbat qarz hai ye baat kahne ki hamein mohlat nahin deti hamein kaghaz pe apna nam apne zimme wajib khwab likhne ki suhulat tak nahin deti hawa par jurm ko sabit hue muddat hui shayad hawa mafrur hai jab se hawa aai to hum us ko kisi andhe kuen mein band kar denge ya ek tarik tah-khane mein le ja kar samundar se ziyaada be-karan tanhai ka paband kar denge agar mumkin hua to hum hawa ko khushk patton ki tarah se khak ka paiwand kar denge