shahr-e-dil ke khamosh gali-kuchon mein dukhon ke qafile aa kar thahre hain hadd-e-nazar udasi ki dhup phaili hai wafa ke thukrae sitam-parwar chehron ki bhid mein mohabbat ki dar-badari ka faisla hua hai nafraton mein dube kuchh chehre mil ke ek khush-rang manzar ko viraniyon ke dasht mein dafn karte hain safed parindon ki aaankhon mein ashkon ka samundar undel kar unhen tanhaiyon ke zindan mein qaid karte hain aur sitam-gazida lamhon ki baqa ki khatir sitamgari ke nae silsilon ka ahd karte hain