tahsin ke talib nahin ausaf-e-khuda-dad aafaq hila deti hai haq-kesh ki fariyaad aabaad kahan halqa-e-sheri ki faza mein but-khana-e-mani ki sanam-e-khana-e-bahzad mit jaega aiwan-e-tafakhur ka takalluf yak shola-e-jawwala hai aah-e-dil-e-nashad zargham hai rubah ke zarrin qafas mein aazad hain paband giraftar hain aazad ghazi ne kaha lut lo but-khana-e-daulat sufi ne kaha chhod do ishrat gah-e-shaddad tezab-e-siyasat mein khudi jis ki hui gharq wo kaghzi lobat bane kya paikar-e-faulad hajat ke but-khana-e-tazwir hazaron bandon ne tere nam pe kar dale hain ijad lut jata hai har gam pe ismat ka khazana dilkash bahut hai mana ki har raqs-e-pari-zad jamhur ki tahzib se ikhlas hai madum imroz nai nasl ko allah nahin yaad jamhur ki barakat se hue aadmi nange science ne sau fitna-e-mahshar kiye ijad