tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chhed na suna jaega hum se ye fasana hargiz dastan gul ki khizan mein na suna ai bulbul hanste hanste hamein zalim na rulana hargiz dhundhta hai dil-e-shorida bahane mutrib dard-angez ghazal koi na gana hargiz sohbaten agli musawwar hamein yaad aaengi koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah dekh is shahr ke khandaron mein na jaana hargiz chappa chappa pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-khak dafn hoga na kahin itna khazana hargiz mit gae tere mitane ke nishan bhi ab to ai falak is se zyaada na mitana hargiz wo to bhule the hamein hum bhi unhen bhul gae aisa badla hai na badlega zamana hargiz jis ko zakhmon se hawadis ke achhuta samjhen nazar aata nahin ek aisa gharana hargiz hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charkh hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz aakhiri daur mein bhi tujh ko qasam hai saqi bhar ke ek jam na pyason ko pilana hargiz bakht soe hain bahut jag ke ai daur-e-zaman na abhi nind ke maton ko jagana hargiz kabhi ai ilm-o-hunar ghar tha tumhaara dilli hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz 'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq' ab dikhaega na shaklon ko zamana hargiz 'momin' o 'alwi' o 'sahbai' o 'mamnun' ke baad sher ka nam na lega koi dana hargiz 'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein na sunega koi bulbul ka tarana hargiz raat aakhir hui aur bazm hui zer-o-zabar ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz bazm-e-matam to nahin bazm-e-sukhan hai 'haali' yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz