titli jugnu rang-o-khushbu gul-o-bulbul jaise isti'are nahin hain pas mere kyunke main ne sisakti sulagti tadapti hui zindagi ko dekha hai khuli aankh se main ne dekhi hai lahu se tar sadken main ne dekhe hain general ward mein bebasi se ediyan ragadte hue bachche budhe lachaar main ne dekhi hain roti ke badle rida hoti hui tar-tar mere shu'ur mein aaj bhi taza hai 'sara-shagufta’ ke bina kafan ke phul jaise bachche ki lash main ne dekhi hai masjid ki tutti hui mehrab ab meri be-nur aankhen kaise dekhe koi hasin khwab