main rangon mein hun kabhi brush mein kabhi canwas pe saji hun main main qaus-e-quzah hun huruf ki alfaz ki ek ladi hun main mujhe khud bhi apna pata nahin main kahan nahin aur kahan hun main ab talash karne se faeda main jo mil bhi jaun to kya bhala phir bhi ek khalish si hai teri justuju subh sham hai ye jo khwahishen hain fuzul si ek 'umr se mere sath hain jo main daman in se chhuda sakun to sukun tasawwuf mein pa sakun magar shaffaf parde tasawwuf ke hain mujhe kis tarah se chhupaenge mujhe qaid karna muhaal hai main magan hun apni hi zat mein kaun-o-makan se be-khabar mujhe aarzu thi kabhi mile koi raaz-dan koi ham-nawa magar kabhi koi aisa mila nahin jahan ro sakun kabhi rakh ke sar jo mila wo apna hi kandha hai jahan roti hun main jhuka ke sar main muhib raat ka pahar hun nahin sahar mere nasib mein ye sahar teri hai to rakh ise main to sahar se bahut dur hun main na hath ab kabhi aaungi mujhe dhundhna bhi fuzul hai ye jo raste hain chahaar-su le jaenge mujhe ku-ba-ku bahut manzilen hain yahan wahan meri manzil in mein koi nahin han meri manzil nahin koi main to apni manzil aap hun