teri palken teri aankhen tere abru ki lachak teri qamat ki daraazi teri zulfon ki mahak tere altaf ka aalam teri qurbat ka jamal tere honton ki khamoshi teri aankhon ke sawal ek chamakta hua shoala tera rangin badan ek tadapti hui bijli teri aankhon ki kiran ek tapta hua sahra teri duri ka khayal ek mahka hua gulshan hai tera roz-e-visal ek chadhta hua dariya hai tu ek bahti naw tere sine ka tamawwuj tere qamat ka bahao tere andaz ka jadu tere ishwon ka fusun sab ke sab ban gae mere liye saman-e-junun tere aghmaz mein pinhan hai mohabbat ki jhalak lab-e-iqrar pe inkar ka pahra kab tak chhid gai hai jo kabhi pairahan-e-chust ki baat phir gai hai meri aankhon mein shagufe ki zat mere har ek ishaare ko samajhne wala qulzum-e-waqt ke dhaare ko samajhne wala mere har naz ko aankhon pe bithaya tu ne mere andaz ko sine se lagaya tu ne mere atwar ke sanche mein ba-sad-shauq dhala aatish-e-gham mein mere waste chup-chap jala meri khatir gham-e-duri bhi gawara hai tujhe mere ikhlas ka duniya mein sahaara hai tujhe meri har baat hai tere liye qanun-e-hayat tera mehwar hai zamane mein faqat meri zat aisa masum koi aur zamane mein kahan itni sachchai kisi aur fasane mein kahan