shikast

tera saudai tere pas ba-sad-ijz-o-niyaz
dagh-e-dil apne dikhane ko chala aaya tha

dil pe kya guzri zamane ne sitam kya dhae
apni rudad sunane ko chala aaya tha

tha yaqin jab dar-e-mahbub pe pahunchenge to phir
chehra-e-zist se dhul jaegi gard-e-alam

apne daman mein chhupa legi phir aaghosh-e-sahar
phir pazirai ko aaegi mahakti hui sham

aas thi ai mere mahbub meri jaan-e-hazin
tere anfas ki khushbu se mahak jaegi

tere altaf-o-inayat ki gul-rezi se
bagh-e-hasti ki tahi-damani dhak jaegi

teri aankhon mein wahi pyar numayan hoga
tere lahje mein lagawat ki wahi khu hogi

khil uthenge isi andaz se aariz ke gulab
teri zulfon mein isi chah ki khushbu hogi

surkh-ru honge gham-e-dil gham-e-dauran donon
phir wahi daur mohabbat ka palat aaega

tere qadmon pe dil-e-zar ke sajde honge
teri aankhon mein wahi pyar simat aaega

dur hogi gham-e-ayyam ki tapti hui dhup
teri zulfon ka mahakta hua saya hoga

main ne samjha tha teri pursish-e-gham se shayad
dard kam hoga gham-e-dil ka mudawa hoga

kya khabar thi ki tera pyar bhi dhoka hoga
ek zarurat ne kiya tha tujhe majbur-e-wafa

maslahat-saz tabiat ko chhupane ke liye
kar liya tu ne khuda ko bhi mohabbat mein gawah

pursish-e-gham ka to kya zikr ki is mahfil mein
main nigah-e-ghalat-andaz ke qabil bhi nahin

hasil-e-bazm jise tu ne kabhi samjha tha
aaj wo jaan-e-hazin dar-khur-e-mahfil bhi nahin

khwab kya kya dil-e-diwana ne dekhe the 'niyaz'
kya bhayanak mili un khwabon ki tabir hamein

ek naya dard mila hum ko shikast-e-dil ka
ek nae mod pe le aai hai taqdir hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close