har-chand meri quwwat-e-guftar hai mahbus

har-chand meri quwwat-e-guftar hai mahbus
khamosh magar taba khud-ara nahin hoti

mamura-e-ehsas mein hai hashr sa barpa
insan ki tazlil gawara nahin hoti

nalan hun main bedari-e-ehsas ke hathon
duniya mere afkar ki duniya nahin hoti

begana-sifat jada-e-manzil se guzar ja
har chiz saza-war-e-nazara nahin hoti

fitrat ki mashiyyat bhi badi chiz hai lekin
fitrat kabhi bebas ka sahaara nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close