meri ragon mein khunuk suiyan pirota hua barhana lashon ke ambar par se hota hua hawa ka hath bahut sard, maut jaisa sard wo ja raha hai, wo darwaze sar patakne lage wo balb tut gaya, sae sath chhod gae wo nachte hue bheje kisi raqiq se tar wo rengte hue bazu, wo chikhte hue sar wo hont nim-tarashida, dant nikle hue wo nisf dhad chale aate hain raqs karte hue wo jism sahme hue band martabanon mein jo baat ki to unhen tez-o-tursh zahr mila jo chup hue to unhen suliyon pe tang diya chhupi hain saikdon bad-ruhen in fazaon mein wo ghurti hui aankhen kahin khalaon mein zamin ke malik-e-derina ki talash mein hain jarahaton ke nishan har khamida lash mein hain aur ek sada chali aati hai, har jarahat se ye sare zakhm muqaddar hue hain maut ke baad sukun-e-lafz-o-bayan o sukut-e-saut ke baad badi bisand hai thithuri hui hawaon mein main ghir gaya hun lahu chatti balaon mein wo ek burida zaban aai ladkhadati hui hansi daraoni sargoshiyon mein kahne lagi tum apni lash liye bhag jao jaldi se na san sakoge ki hain maut ke fasane bahut mata-e-jism salamat ki murda-khane bahut