shahr ki ek ek sadak phankti aai hai lakhon hadson ki sard dhul jaane kitne ajnabi ek dusre ke dost banne se kinara kar gae aur kitne aashnaon ke dilon se mit gai pahchan bhi sau nigahen lakh zakhm chaar-samti lakh jhut sau tamashon ke pade hain ja-ba-ja dhabbe jinhen gard-e-masafat mein chhupane ke liye barq-pa lamhon ko thame daudte jate hain hum lamhe do lamhe ko dam lene ki khatir sust ho jaen agar shahr ki ek ek sadak aankhon se khun rulwaegi aur bana kar hum ko bhi ek dastan dohrae gi hanpti tahzib ke ek ek musafir se kahegi daudte jao yahi hai zindagi mat ruko ek dusre ke waste bhagta hai waqt lekin lamha lamha daudna hai sab ko lekin tanha tanha