siyah raaton ke be aman raston pe chhitke hue ye chehre ki jaise patjhad mein bikhar gae hon bas in ki bechain zakhm-khurda si putliyon mein raqam hai baqi jo ghumti hain jo muntazir hain mare zamane mein phal nahin hain faqat akhzan ke zawal hain aur aise tufan ki dekhte dekhte hazaron darakht jad se ukhad gae hain ummid na-ashna dilon mein jo dard hai raaz bin chuka hai, jo lafz hain ujad rahe hain mujhe is apni khizan mein jo chiz yaad hai wo har ek raste main an-ginat putliyon ki gardish ka karb jaise hazar-ha mom-battiyan jo mere badan aur meri aankhon ko chhu kar ke bujhti hun aur andhere ko mere andar utarti hun ye putliyan jin mein ghumte aur dubte hain sabhi sitare ye aasmanon ke takne wale tabah chehre nidhaal ke tajarbe ko muraqqaon mein saf ba saf muntazir hain meinh ke jo un ki pamaliyon ko dho kar safed kar de jale bujhe aur kham rangon ki chiq-lish se jagah jagah shiq ye marg amboh jis ki ta mein dabi hui aag ki hararat hai aakhiri faislon ka mausam ki aaina war mein yahan pe khud apne chehre ko dhundhta phir raha hun shayad kho chuka hun shayad aaj bhi subh hui aur nai nai ummiden jagen shayad aaj bhi suraj apni puri tabani se chamke shayad dil moh lene wali koi surat jate jate mud kar dekhe rukhi sukhi bhi neamat se badh kar maza de shayad aaj bhi koi mujhe phir pas bitha le an-honi miras yahi hain duniya bhar ki mamuli baaten har din kitna naya magar utna hi purana wahi hain sare raste aur gardish mein aankhen suiyan aur mitti ke pyale sada hi mangte hath kabhi na thakte panw bar jun wale shahr sabhi makdi ke jale aur mitti ki nangi bhuki sadiyon ganw shayad aaj bhi pal do pal ko duniya ki har baat lage jaise in mil bejod fasana aag ki konpal jaisi subh mein kaun sirhane baitha mujh se hans hans kar baaten karta hai kitna raushan khwab ye mere sath utha hai kahne ko dekha hai kya kya lekin phir bhi jaane kya kuchh dar-parda hai shayad aaj samajh mein aae kya dekha hai kya dhoka hai kitni ummidon par qaem hai ye duniya aur yahin par kisi taraf konon khudron mein apni hawa mein hum bhi tum bhi jaise aaj ho sab kuchh daim ek zara ji bahla to phir kya kya kuchh lagta hai sachcha sare jal suhane sara yahan ka karna bharna achchha shayad aaj bhi