wadi wadi sahra sahra phirta raha main diwana koh mila to dariya ban kar us ka sina chir ke guzra sahraon ki tund hawaon mein lala ban kar jalta raha dharti ki aaghosh mili to pauda ban kar phuta jab aakash se nazren milin to tair ban ke uda ghaaron ke andhiyaron mein main chand bana aur aakash pe suraj ban kar chamka phir bhi main diwana raha apne sapnon khwabon ki ulti sidhi taswir banai tedhi medhi lakiren khinchin lekin jab ek harf mila goya nur ki kirnen mere do honton mein simat aai hain main ye charagh-e-ala-din le kar ghaaron ke andhiyaron mein khoe hue moti dhund raha hun