jin chizon ka sapna dekha wo sab chizen pain hain jag walon ne mehnat ki hai sari chiz jatain hain ab jab sab kuchh pas hai mere koi bhi romance nahin ishq ke koi maze nahin hain tis nahin hai phans nahin sapnon ki dharti upjau sapnon se sapne ugte hain sapne kis mahaul mein jaane aate sote jagte hain ek sawal jo be-mani hai kya paya hai kya khoya hai ghurbat ya ki amiri ka ho paimana koi pukhta hai akhtar-ul-iman ne bhai bade pate ki baat kahi hai kaun sitare chhu sakta hai rah mein sans ukhad jati hai