jahan-zad kaise hazaron baras baad ek shahr-e-madfun ki har gali mein mere jam o mina o gul-dan ke reze mile hain ki jaise wo is shahr-e-barbaad ka hafiza hon hasan nam ka ek jawan kuza-gar ek nae shahr mein apne kuze banata hua ishq karta hua apne mazi ke taron mein hum se piroya gaya hai hamin mein ki jaise hamin hon samoya gaya hai ki hum tum wo barish ke qatre the jo raat bhar se hazaron baras rengti raat bhar ek dariche ke shishon pe girte hue sanp lahren banate rahe hain aur ab is jagah waqt ki subh hone se pahle ye hum aur ye naujawan kuza-gar ek ruya mein phir se piroe gae hain jahan-zad ye kaisa kohna-paraston ka amboh kuzon ki lashon mein utra hai dekho ye wo log hain jin ki aankhen kabhi jam o mina ki lim tak na pahunchin yahi aaj is rang o roghan ki makhluq-e-be-jaan ko phir se ulatne palatne lage hain ye un ke tale gham ki chingariyan pa sakenge jo tarikh ko kha gai thin wo tufan wo aandhiyan pa sakenge jo har chikh ko kha gai thin unhen kya khabar kis dhanak se mere rang aae mere aur is naujawan kuza-gar ke unhen kya khabar kaun si titliyon ke paron se unhen kya khabar kaun se husn se kaun si zat se kis khadd-o-khal se main ne kuzon ke chehre utare ye sab log apne asiron mein hain zamana jahan-zad afsun-zada burj hai aur ye log us ke asiron mein hain jawan kuza-gar hans raha hai ye masum wahshi ki apne hi qamat se zholida-daman hain juya kisi azmat-e-na-rasa ke unhen kya khabar kaisa aaseb-e-mubram mere ghaar sine pe tha jis ne mujh se aur us kuza-gar se kaha ai hasan kuza-gar jag dard-e-risalat ka roz-e-bashaarat tere jam o mina ki tishna-labi tak pahunchne laga hai yahi wo nida ke pichhe hasan nam ka ye jawan kuza-gar bhi pyape rawan hai zaman se zaman tak khizan se khizan tak jahan-zad main ne hasan kuza-gar ne bayaban bayaban ye dard-e-risalat saha hai hazaron baras baad ye log rezon ko chunte hue jaan sakte hain kaise ki mere gil o khak ke rang o roghan tere nazuk aaza ke rangon se mil kar abad ki sada ban gae the main apne masamon se har por se teri banhon ki pahnaiyan jazb karta raha tha ki har aane wale ki aankhon ke mabad pe ja kar chadhaun ye rezon ki tahzib pa len to pa len hasan kuza-gar ko kahan la sakenge ye us ke pasine ke qatre kahan gin sakenge ye fan ki tajalli ka saya kahan pa sakenge jo badhta gaya hai zaman se zaman tak khizan se khizan tak jo har naujawan kuza-gar ki nai zat mein aur badhta chala ja raha hai! wo fan ki tajalli ka saya ke jis ki badaulat hama ishq hain hum hama kuza-gar hum hama-tan khabar hum khuda ki tarah apne fan ke khuda sar-ba-sar hum aarzuen kabhi payab to saryab kabhi tairne lagte hain behoshi ki aankhon mein kai chehre jo dekhe bhi na hon kabhi dekhe hon kisi ne to suragh un ka kahan se pae kis se ifa hue andoh ke aadab kabhi aarzuen kabhi payab to saryab kabhi ye kuzon ke lashe jo in ke liye hain kisi dastan-e-fana ke waghaira waghaira hamari azan hain hamari talab ka nishan hain ye apne sukut-e-ajal mein bhi ye kah rahe hain wo aankhen hamin hain jo andar khuli hain tumhein dekhti hain har ek dard ko bhanpti hain har ek husn ke raaz ko jaanti hain ki hum ek sunsan hujre ki us raat ki aarzu hain jahan ek chehra darakhton ki shakhon ke manind ek aur chehre pe jhuk kar har insan ke sine mein ek barg-e-gul rakh gaya tha usi shab ka duz-dida bosa hamin hain