main tujhe phul kahun aur kahun bhanwaron se aao us phul ka ras chus ke nacho-jhumo main tujhe shama kahun aur kahun parwano aao us shama ke honton ko khushi se chumo main teri aankh ko tashbih dun maikhane se aur khud zahr-e-judai ka talabgar rahun ghair soe teri zulfon ki ghani chhanw mein aur main chandni raaton main faqat sher kahun mujh se ye tere qaside na likhe jaenge mujh se tere liye ye ghazlen na kahi jaengi yaad mein teri main sulga na sakunga aankhen sakhtiyan dard ki mujh se na sahi jaengi shahr mein aise musawwir hain jo sikkon ke ewaz husn mein laila-o-azra se badha denge tujhe tul de kar teri zulfon ko shab-e-gham ki tarah fan ke eajaz se nagin si bana denge tujhe tujh ko shahr ki zarurat hai mohabbat ki mujhe ai hasina teri manzil meri manzil mein nahin nach ghar teri nigahon mein hain raqsan lekin is tayyush ki tamannaen mere dil mein nahin dekh ke ghair ke pahlu mein tujhe raqs-kunan bhig jati hai meri aankh sarishk-e-gham se mujh ko barson ki ghulami ka khayal aata hai jis ne andaz-e-wafa chhin liya hai hum se mujh ko bhanwra na samajh mujh ko patanga na samajh mujh ko insan samajh meri sadaqat se na khel teri tafrih ka saman na banunga hargiz meri duniya hai yahi meri mohabbat se na khel