mazdur aurten

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chehron pe khak dhul ke ponchhe hue nishan

tu aur rang-e-ghaza-o-gulguna-o-shahab
socha bhi kis ke khun ki banti hain surkhiyan

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
maile phate libas hain mahrum-e-shast-o-shu

tu aur itr o ambar o mushk o abir o ud
mazdur ke bhi khun ki aati hai is mein bu

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tan dhankne ko thik se kapda nahin hai pas

tu aur harir o atlas o kam-khwab o parniyan
chubhta nahin badan pe tere reshmi libas

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chandi ka koi ganjh na sone ka koi tar

tu aur haikal-e-zar o aaweza-e-guhar
sine pe koi dam bhi dhadakta hai tera haar

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
sadiyon se har nigah hai faqon ki rahguzar

tu aur ziyafaton mein ba-sad-naz jalwa-gar
kis ke lahu se garm hai ye mez ki bahaar

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tarik maqbaron se makan in ke kam nahin

tu aur zeb-o-zinat-e-alwan-e-zar-nigar
kya tere qasr-e-naz ki hilti nahin zamin

gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
mehnat hi un ka saz hai mehnat hi un ka rag

tu aur shughl-e-ramish-o-raqs-o-rabab-o-rang
kya tere saz mein bhi dahakti hai koi aag

gulnar dekhti hain ye mazdur aurten
mehnat pe apne pet se majbur aurten


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close