tanhai ki khamoshi mein ji bekar ulajhta hai zar o pareshan rahta hun lekin logon ke jamghat mein ek mohmal se shor-o-ghul mein shakhsiyyat samjhaute ke tezab mein hal ho jati hai dil hota hai aur pasheman tanhai ki khamoshi mein bhut shikast-o-nakaami ke ek ek kar ke mujh se jab bhi mahw-e-takallum hote hain mujh ko apna uncha sa qad chhota chhota lagta hai main ek zarra ek sitara ban jata hun lekin main wo tara kab hun kab in taron mein shamil hun le ke ujala jo mange ka apni aab badhane ki nahaq si koshish karte hain tanhai ki khamoshi! ye ghunt hai ek zahr-e-qatil ka ghunt hai ek amrit ka bhi ye ghunt main donon pi leta hun raat gae ujle bistar par so jata hun pahli kiran ke sath sunahri pagdandi ka ho jata hun