us ne khwahish ki to wo zahir hua rang tariki se nikle aur sada dene lage saya saya ho gai kali gupha ki tirgi aur har manzar numayan ho gaya main bhi tha ek raushni aur tirgi ke darmiyan mujh ko bhi zalim hawa ne das liya aur main bhi zindagi ki aag mein jalte laga khak-o-khun ke rang mein dhalne laga us ne khwahish ki to us ko maut ke sae mile main ne khwahish ki to mujh ko jism ka maqtal mila