hasin duniya ujad gai to agar kahin ye bigad gai to guman se aage nikal gai to guman se aage guman kar lo uthao parda aur dekh lo khud zamin-faroshi ke rup kitne naqab-poshon ki bhid mein sab hamare kal ke ye saudagar hain un hi ki hirs-o-hawas ke bais hamari duniya ujad rahi hai garm hawaon mein ghir rahi hai badalte mausam ka istiara zamin ko taraj kar raha hai pahad-o-dariya nigalne wale shajar-faroshi mein lag gae hain wo khushnuma git gate panchhi ab apne raste badal rahe hain shikari aankhon se bach rahe hain ye dariya garmi se jal rahe hain pahad karwat badal rahe hain zamin ka zewar utar raha hai aur jangalon mein ghadar macha hai sulagte sahra basane walo nirali duniya sajaane walo samundaron par shahr banao falak pe tum kahkashan sajao jahan-e-nau khub-tar basao magar zamin ko na bhul jaana luta rahi hai jo aab-o-dana hasin duniya ujad gai to agar kahin ye bigad gai to guman se aage nikal gai to na tum rahoge na hum rahenge na mausamon ke ye rang rahenge