nam be-shak aam aadmi ho par main to masiha hun kandhe par apne karmon ki salib dur se tamashai mere habib mere rishte mere farz mera bite waqt ki parchhaiyan sab mujh par kode barsate le ja rahen hain ajnabi se maqam par lanten barsate mere nam par mujhe roz dhakkiyate aur is par majburi ki mujhe khamosh rahna hai sab chup-chap sahna hai koi na mane ki main kya hun par main bhi masiha hun