khali gilas ke muqaddar mein honton ka lams hathon ki narmi kahan shabnam roti hai use fana ka gham hai lams ki qimat ka ehsas nahin hai us ko phulon ki aaghosh mein maut bhi hasin ho jati hai zindagi ki tarah khush-qismat hain wo lifafe jin par sabt hoti hai mohr husain labon ki mujhe bhi koi chhole mujhe bhi koi pi le main phir tut-phut jaunga khali gilas ke muqaddar mein magar honton ka lams hathon ki narmi kahan