main rakh zada muskurahat janti hun khinchti hain lakiren aur nuqush bigadte chale jate hain tumhaari muskurahat ki tarawat kyon nahin jati ye to aur hi rang ka gara hai kis ne gundhi hai meri mitti rang hi nahin badalta main apne rang mein tumhaara rang milati hun na main rahti hun aur na tum aawe ka khali-pan qahqahe lagane lagta hai dhale dhalae tarshe tarshae tumhein pahchanna mushkil to nahin magar meri poren tumhein pahchanne se qasir hain tumhaara wajud kis mitti se bana hai gare ki khan-khanahat hi nahin jati