mere hath khol diye jaen to main is duniya ki diwaron ko apne khwabon ki lakiron se siyah kar dun aur qahr ki barish barsaun aur is duniya ko apni hatheli par rakh kar masal dun mera daman khwabon ke andhere mein phaila hua hai mere khwab phansi par chadha diye gae mera bachcha mere pet se chhin liya gaya mera ghar qahr-khanon ke astabal ke liye khol diya gaya mujhe be-zin ghode par andhere maidanon mein utar diya gaya hai meri zanjir ka sira kis ke pas hai? qayamat ke shor se pahle main apni dhajjiyon ko samet lun apne bachchon ko aakhiri bar ghiza faraham kar dun aur zahr ka piyala pi lun meri zanjir khol di jae us ka sira kis ke hath mein hai?