o des se aane wala hai bata o des se aane wale bata kis haal mein hain yaran-e-watan aawara-e-ghurbat ko bhi suna kis rang mein hai kanan-e-watan wo bagh-e-watan firdaus-e-watan wo sarw-e-watan raihan-e-watan o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi wahan ke baghon mein mastana hawaen aati hain kya ab bhi wahan ke parbat par ghanghor ghataen chhati hain kya ab bhi wahan ki barkhaen waise hi dilon ko bhati hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi watan mein waise hi sarmast nazare hote hain kya ab bhi suhani raaton ko wo chand sitare hote hain hum khel jo khela karte the kya ab wahi sare hote hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi shafaq ke sayon mein din raat ke daman milte hain kya ab bhi chaman mein waise hi khush-rang shagufe khilte hain barsati hawa ki lahron se bhige hue paude hilte hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata shadab-o-shagufta phulon se mamur hain gulzar ab ki nahin bazar mein malan lati hai phulon ke gundhe haar ab ki nahin aur shauq se tute padte hain nau-umr kharidar ab ki nahin o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya sham pade galiyon mein wahi dilchasp andhera hota hai aur sadkon ki dhundli shamon par sayon ka basera hota hai baghon ki ghaneri shakhon mein jis tarah sawera hota hai o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi wahan waisi hi jawan aur madh-bhari raaten hoti hain kya raat bhar ab bhi giton ki aur pyar ki baaten hoti hain wo husn ke jadu chalte hain wo ishq ki ghaten hoti hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata miraniyon ke aaghosh mein hai aabaad wo bazar ab ki nahin talwaren baghal mein dabe hue phirte hain trahdar ab ki nahin aur bahliyon mein se jhankte hain turkan-e-siyah-kar ab ki nahin o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi mahakte mandir se naqus ki aawaz aati hai kya ab bhi muqaddas masjid par mastana azan tharraati hai aur sham ke rangin sayon par azmat ki jhalak chha jati hai o des se aane wale bata o des se aane wala bata kya ab bhi wahan ke panghat par panhaariyan pani bharti hain angdai ka naqsha ban ban kar sab mathe pe gagar dharti hain aur apne gharon ko jate hue hansti hui चुहलें karti hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata barsat ke mausam ab bhi wahan waise hi suhane hote hain kya ab bhi wahan ke baghon mein jhule aur gane hote hain aur dur kahin kuchh dekhte hi nau-umr diwane hote hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi pahadi chotiyon par barsat ke baadal chhate hain kya ab bhi hawa-e-sahil ke wo ras bhare jhonke aate hain aur sab se unchi tikri par log ab bhi tarane gate hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi pahadi ghatiyon mein ghanghor ghataen gunjti hain sahil ke ghanere pedon mein barkha ki hawaen gunjti hain jhengur ke tarane jagte hain moron ki sadaen gunjti hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi wahan melon mein wahi barsat ka jauban hota hai phaile hue bad ki shakhon mein jhulon ka nasheman hota hai umde hue baadal hote hain chhaya hua sawan hota hai o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya shahr ke gird ab bhi hai rawan dariya-e-hasin lahrae hue jun god mein apne man ko liye nagin ho koi tharrae hue ya nur ki hansuli hur ki gardan mein ho ayan bil khae hue o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi faza ke daman mein barkha ke samay lahraate hain kya ab bhi kanar-e-dariya par tufan ke jhonke aate hain kya ab bhi andheri raaton mein mallah tarane gate hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi wahan barsat ke din baghon mein bahaaren aati hain masum o hasin doshizaen barkha ke tarane gati hain aur titriyon ki tarah se rangin jhulon par lahraati hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi ufuq ke sine par shadab ghataen jhumti hain dariya ke kinare baghon mein mastana hawaen jhumti hain aur un ke nashile jhonkon se khamosh fazaen jhumti hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya sham ko ab bhi jate hain ahbab kanar-e-dariya par wo ped ghanere ab bhi hain shadab kanar-e-dariya par aur pyar se aa kar jhankta hai mahtab kanar-e-dariya par o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya aam ke unche pedon par ab bhi wo papihe bolte hain shakhon ke hariri pardon mein naghmon ke khazane gholte hain sawan ke rasile giton se talab mein amras gholte hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya pahli si hai masum abhi wo madrase ki shadab faza kuchh bhule hue din guzre hain jis mein wo misal-e-khwab faza wo khel wo ham-sin wo maidan wo khwab-gah-e-mahtab faza o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi kisi ke sine mein baqi hai hamari chah bata kya yaad hamein bhi karta hai ab yaron mein koi aah bata o des se aane wale bata lillah bata lillah bata o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya hum ko watan ke baghon ki mastana fazaen bhul gain barkha ki bahaaren bhul gain sawan ki ghataen bhul gain dariya ke kinare bhul gae jangal ki hawaen bhul gain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ganw mein ab bhi waisi hi masti-bhari raaten aati hain dehat ki kamsin mah-washen talab ki jaanib jati hain aur chand ki sada raushni mein rangin tarane gati hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi gajar-dam charwahe rewad ko churane jate hain aur sham ke dhundle sayon ke hamrah gharon ko aate hain aur apni rasili bansuriyon mein ishq ke naghme gate hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ganw pe ab bhi sawan mein barkha ki bahaaren chhati hain masum gharon se bhor-bhaie chakki ki sadaen aati hain aur yaad mein apne maike ki bichhdi hui sakhiyan gati hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata dariya ka wo khwab-aluda sa ghat aur us ki fazaen kaisi hain wo ganw wo manzar wo talab aur us ki hawaen kaisi hain wo khet wo jangal wo chidiyan aur un ki sadaen kaisi hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi purane khandaron par tarikh ki ibrat tari hai annpurna ke ujde mandir par mayusi-o-hasrat tari hai sunsan gharon par chhawni ke virani o riqqat tari hai o des se aane wale bata o des se aane wale bata aakhir mein ye hasrat hai ki bata wo ghaarat-e-iman kaisi hai bachpan mein jo aafat dhati thi wo aafat-e-dauran kaisi hai hum donon the jis ke parwane wo sham-e-shabistan kaisi hai o des se aane wale bata o des se aane wale bata marjaana tha jis ka nam bata wo ghuncha-dahan kis haal mein hai jis par the fida tiflan-e-watan wo jaan-e-watan kis haal mein hai wo sarw-e-chaman wo rashk-e-saman wo sim-badan kis haal mein hai o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi rukh-e-gulrang pe wo jannat ke nazare raushan hain kya ab bhi rasili aankhon mein sawan ke sitare raushan hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata kya ab bhi shahabi aariz par gesu-e-siyah bil khate hain ya bahr-e-shafaq ki maujon par do nag pade lahraate hain aur jin ki jhalak se sawan ki raaton ke sapne aate hain o des se aane wale bata o des se aane wale bata ab nam-e-khuda hogi wo jawan maike mein hai ya sasural gai doshiza hai ya aafat mein use kam-bakht jawani dal gai ghar par hi rahi ya ghar se gai khush-haal rahi khush-haal gai o des se aane wale bata