raste ajnabi manzilen ajnabi hazirin ajnabi mahfilen ajnabi zindagi kuchh nahin zindagi ajnabi aur phir mere dil maut bhi ajnabi yar bhi ajnabi aur aghyar bhi radio tw sare ye akhbar bhi hai zamin ajnabi aasman ajnabi aur to aur kaun-o-makan ajnabi samne aaine ke jo main aa gaya aaine ne kaha kaun hai tu bata kuchh to apna taaruf bhi mujh se kara main hansa aur hans ke kahne laga main bhi hun ajnabi aur tu ajnabi shakl meri tere ru-ba-ru ajnabi main bhi hairan hun tu bhi hairan hai shahr sunsan hai dil bhi viran hai dher mitti ka bas apni pahchan hai saya-e-zulf-e-barham mein le chal mujhe warna mai-khana-e-gham mein le chal mujhe qatra-e-ashk ya qatra-e-mai piyun kyun na sarmaya-e-zist un ko kahun dosti dushmani guftugu ajnabi aaj sab kuchh ba-juz haw-hu ajnabi