wo pareshan hai meri nazron ko apne badan se lipatte chimatte hue dekh kar kitni bechain hai sandalin jism par goya lipte hue sanp hi sanp hon aur main us ke har ang par apni nazren jamae hue sar-ba-sar aankh hun zer-o-bam zer-o-bam pech-o-kham pech-o-kham saq zanu jabin pusht sar-ta-qadam meri laser shuaon ke is jal mein zulf sina kamar pura akwariom pairahan jild aur gosht ke par ka sara ahwal bhi jaanta hun use bhi ye malum hai jaanti hai ki hum hain baham tak mile phir bhi wo kyun pareshan hai