saltanat ke zang-khurda aahani mahbas mein ek khilqat chhupi hai bediyon aur bediyon se ediyon par padne wale zakhm ki aadi ye ek bimar khilqat aahani kantop se sar ko dhake mahbas ki diwaron pe apne nakhunon se aadi tedhi tirchhi lakiren khurachti shah ki tausif mein ghaltan raza raghbat se shadd-o-mad se masruf-e-amal hai aur agar taza hawa ka koi jhonka jab kabhi mahbas mein dar aae to ye khilqat bilakti sarsaraati si mari aawaz mein sargoshiyon mein mukhbiri karti hai in taza hawaon ki pas-e-zindan sipahi zang-khurda aahani mahbas ki diwaron se apne kan jode mukhbiri ke muntazir taza hawa ke narm jhonke ki giraftari raqam karne ko bas tayyar baithe hain khabar de do hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai ye agar chalti hai to koh-e-giran ko kat deti hai kisi dimak-zada budhe shajar ko us ki jad se hi utha kar phenk deti hai hawa tufan ban jae to sab kuchh hi khas-o-khashak karti hai khabar de do hawa ab chal padi hai saltanat ke aahani mahbas ke qaidi mukhbiri karne mein pichhe rah gae hain aur giraftari ke khwahish-mand wo sare sipahi thak chuke hain aahani mahbas ki diwaron mein rakhne ho chuke hain aur hawa sargoshiyon se tez-tar atraf mein had-e-nazar tak ab musalsal phailti hi ja rahi hai ye khabar de do hawa ko qaid karna is qadar aasan nahin hai hawa ab chal padi hai