ye pyaade pit chuke hain sab tumhaare feel aur asp-e-yazidi khana-ba-khana pareshan parda-ba-parda pasheman la-ba-la ja-e-mafar ki rah mein sargardan bisat-e-khun-chakan par ret ki diwar nikla har bahadur aur ab atraf mein shah ke koi khandaq hai aur na koi dasta hai hifazat ka wazir-e-mohtaram ka khana khali hai bisat-e-khun-chakan par har bahadur ghutne teke apne khane mein pareshan sar jhukae hath sine se lagae aalam-e-hairat se ek duje ko takta hai tamashai khade chup-chap patthar lab liye aur sans roke bazi-e-shatranj par nazren jamae mahw-e-manzar hain ye manzar khub manzar hai ki jis mein na-tawan hathon ne zor-awar ka nashsha ek lamhe mein utara hai ye pyaade pit chuke hain aur tumhaare fil aur asp-e-yazidi ab yahan sar-ba-gareban hain wazir-e-mohtaram ka khana khali hai bisat-e-khun-chakan par mat hone mein bas ek khane ki duri hai